hawas ka rang chaDha us pe aur utar bhi gaya

hawas ka rang chadha us pe aur utar bhi gaya
wo khud hi jama hua aur khud bikhar bhi gaya

thi zindagi meri rahon ke pech-o-kham ki asir
magar main raat ke hamrah apne ghar bhi gaya

main dushmanon mein bhi ghir kar nidar raha lekin
khud apne jazba-e-haiwaniyat se dar bhi gaya

mere lahu ki talab ne mujhe tabah kiya
hawas mein sang ki hathon se mere sar bhi gaya

hai lafz-o-mani ka rishta zawal-amada
khayal paida hua bhi na tha ki mar bhi gaya

sila ye manzil-e-maqsud ka mila 'shadab'
safar tamam hua aur ham-safar bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close