haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti

haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti
tumhaari subh raushan raat nurani nahin hoti

unhen hargiz nahin milti kabhi bhi ishq ki daulat
wo jin se zindagi mein dost nadani nahin hoti

hamari laj rakh li zindagi ki bhul ne warna
hamari ishq ki duniya mein sultani nahin hoti

dilon ko todne walo badha kar duriyan dekho
mohabbat fasle rakh kar bhi begani nahin hoti

mohabbat kis gali mein raqs karti kis pe itraati
agar laila kisi majnun ki diwani nahin hoti

qadam tapte hue sahraon pe rakkha hai majnun ne
tabhi to ishq ki duniya mein virani nahin hoti

kahan se akbar-e-azam ke gulshan mein bahaar aati
agar chunari wo jodhabai ki dhani nahin hoti

furui ishq ne 'maqsud' ruswa kar diya hota
buzurgon ki nasihat tu ne jo mani nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close