hayat-e-ulfat ki chandni mein masarraton ki kami nahin hai

hayat-e-ulfat ki chandni mein masarraton ki kami nahin hai
magar muqaddar ko kya karun main nazar wo pahli jo thi nahin hai

wo ibtida ishq ki thi hum ko gila tha jab dard-e-be-kasi ka
magar shabab-e-junun to dekho shikayat-e-be-rukhi nahin hai

teri mohabbat hai zahr shirin teri wafaen hasin dhoke
hai lakh dushman agarche duniya magar ye tujh se buri nahin hai

hazaron tufan se ishq khele hazar dil mein hujum-e-gham ho
magar fareb-e-wafa jo khae wo zindagi zindagi nahin hai

kamal-e-ishq-o-wafa ke partaw jahan-tahan jagmaga rahe hain
ye sab fareb-e-nigah-o-dil hai kisi mein kuchh dilkashi nahin hai

wo aur honge aish-e-duniya ki aarzuon mein mar rahe hain
wo chiz main kyon pasand kar lun jo hasil-e-bandagi nahin hai

teri wafaon ke aasare par had-e-tasawwur se badh gaya hun
maqam aisa ab aa gaya hai teri kami bhi kami nahin

jawan hai ab meri mohabbat shabab par hain meri duaen
hai mauqa-e-khud-kushi to ai 'raj himmat-e-khud-kushi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close