hayat waqf-e-gham-e-rozgar kyun karte main sochta hun ki wo mujh se pyar kyun karte na meri rah mein tare na mere pas charagh wo mere sath safar ikhtiyar kyun karte nigah sirf bulawa nahin kuchh aur bhi hai ye jaante to tera e'tibar kyun karte gham-e-hayat mein hota agar na hath tera to hum khirad mein junun ko shumar kyun karte koi to baat hai warna jafaon ke mare tujhe bhula ke tera intizar kyun karte 'nazar' chaman mein agar waqai bahaar aati to phul khwahish-e-abr-e-bahaar kyun karte