hazar kufr hain ek chashm-e-parsa mein teri bhari hui hai shararat ada ada mein teri baqa ko apni mashiyyat teri samajhta hun meri hayat-e-qaza-kar hai raza mein teri mere habib meri aakhirat ke ai zamin mere nasib ki jannat hai khak-e-pa mein teri ye kis maqam se tu ne khitab farmaya suni gai meri aawaz bhi sada mein teri ye soch kar na 'munawar' ne kuchh kiya shikwa wafa ki dad ka pahlu bhi hai jafa mein teri