hazaron bar kah kar bewafa ko ba-wafa maine

hazaron bar kah kar bewafa ko ba-wafa main ne
bataya hai zamane ko wafa ka rasta main ne

badi izzat se ahl-e-jurm mera nam lete hain
gunahgaron ko ek din kah diya tha parsa main ne

tum apne aap ko kuchh bhi kaho mazhab ke diwano
na dekha koi tum jaisa khuda-na-ashna main ne

jala kar zulmat-e-baatil mein haq ki mishalen yaro
zamane ko banaya hai haqiqat-ashna main ne

gharaz dair o haram se hai na matlab hai kalisa se
jahan jalwa nazar aaya tera sajda kiya main ne

bahut hi mo'tabar hun kyun ki main rahi hun ai 'rahi'
qasam le lo agar khud ko kaha ho rahnuma main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close