hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai

hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uthta hai
nazar haq-ashna hoti hai parda dil se uthta hai

jala jata hun bar-e-soz-e-gham mushkil se uthta hai
wo ashkon se nahin bujhta jo shola dil se uthta hai

kahan khanjar bhi dast-e-nawak-e-qatil se uthta hai
nazakat se hina ka bar bhi mushkil se uthta hai

ye kis ne dal di bahr-e-talatum-khez mein kashti
ye shor-e-harche-baada-e-baad kyun sahil se uthta hai

kashida jis se tum hote ho koi rukh nahin karta
giraate ho nazar se tum jise mushkil se uthta hai

ye aansu kasm-pursi kis ke matam mein bahati hai
janaza aaj kis ka kucha-e-qatil se uthta hai

magar tasir paida ho gai majnun ke nalon mein
ki parda aaj dast-e-laila-e-mahmil se uthta hai

rukh-e-be-parda un ka yaad aata hai shab-e-hijran
hijab-e-abr jab ru-e-mah-e-kaamil se uthta hai

laga di aatish-e-khamosh kya soz-e-mohabbat ne
ilahi khair dud-e-ah-e-sozan dil se uthta hai

kiya sharminda itna sakht-jaani ne nazakat se
khajalat se sar un ke samne mushkil se uthta hai

kaleja tham len didar-e-jaanan dekhne wale
bas ab parda rukh-e-rashk-e-mah-e-kaamil se uthta hai

chale ahbab aaghosh-e-lahad mein chhod kar mujh ko
ki hamdardi ka jazba pahli hi manzil se uthta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close