hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost

hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost
mere bistar par mujhe tadpa rahi hai bu-e-dost

khatm zinat ho gai mashshata ne le lin balaen
gesu-e-pur-kham ne chume shana-o-bazu-e-dost

imtihan quwwat ka hai talwar uthai jati hai
ab to is qabil hue hain panja-o-bazu-e-dost

zakhm khata badh ke main aur wo lagata badh ke tegh
dil mera badhta to badhti quwwat-e-bazu-e-dost

ghat gaya yan khun aur wan fasd ka saman hua
aa gaya ghash mujh ko jab bandha gaya bazu-e-dost

jaan aadhi rah gai dekhi jo ghusse ki nazar
dil pe ek bijli giri jab hil gae abru-e-dost

mujh ko jin se ishq hai un ko hai mujh se dushmani
yan wo aate the ki uljhe panw gesu-e-dost

kaba jis ko log kahte hain makan hai yar ka
arsh-e-azam nam rakhte hain zamin-e-ku-e-dost

mere sine mein hui kyun khana-e-dil ki bina
ye makan banne ke qabil thi zamin-e-ku-e-dost

zakhmi-e-ulfat hun main sehat nahin hogi mujhe
bhar rahi hai dil ke zakhmon mein hawae ku-e-dost

bakhshti hai ruh ko har martaba ek tazgi
mujh ko marne hi nahin deti hawa-e-ku-e-dost

talib-e-didar hain hai saf aankhon se ayan
go ki munh se kuchh nahin kahte gada-e-ku-e-dost

dushman iza dete hain har martaba mujh ko 'rashid'
ghussa aata hai magar main dekhta hun su-e-dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close