hijr ki shab mein bayan kis se main rudad karun un ka parda bhi rakhun apni bhi fariyaad karun aah-o-nala na karun aur na fariyaad karun sochta hun main unhen kis tarah ab yaad karun mahfil-e-ghair mein wo mujh ko milen to ai dil kis tarah zikr tera ai dil-e-nashad karun ma-siwa tere nazar mein koi jachta hi nahin khana-e-dil mein tujhe kyun na main aabaad karun zakhm hi zakhm mohabbat hain mere dil mein agar sochta hun ki bayan kaise ye rudad karun dil azal hi se hai mail jo hasinon ki taraf kyun mohabbat ke gharondon ko main barbaad karun charkh-e-be-mehr se kam tu bhi nahin hai zalim aashiyan kaise hawale tere sayyaad karun kaisi mushkil si hai mushkil ye na puchhun mujh se kis tarah zehn-e-pareshan ko main aazad karun shab ki tanhai mein aksar yahi socha hai 'nazir' yaad kar kar ke tujhe dil ko to ab shad karun