hijr mein ho gaya visal ka kya

hijr mein ho gaya visal ka kya
khwab hi ban gaya khayal ka kya

khud-numai pe khak dalo tum
dekhna shakl-e-be-misal ka kya

teri furqat ke din khuda kate
ho rahega kabhi visal ka kya

dil ke dene mein uzr kis ko hai
jaan hi de rahe hain mal ka kya

haal us ne hamara puchha hai
puchhna ab hamare haal ka kya

wasl ki iltija pe bigde kyun
sun ke chup ho raho sawal ka kya

daur ki aashiqi gunah nahin
dekh lete hain dekh-bhaal ka kya

zulf ko kyun jakad ke bandha hai
us ne bosa liya tha gal ka kya

aaj tum kyun malul baithe ho
wasl din hai mere visal ka kya

jab kaha tum se roz milta hun
hans ke kahne lage khayal ka kya

qaul ke waqt shart-e-fursat kyun
dakhl wade mein ehtimal ka kya

ranj de kar jo khush ho ai 'muztar'
us ko sadma mere malal ka kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close