hikayat-e-dil-e-mahzun na qissa-e-majnun kisi ki baat sunun main na apni baat kahun to main wahi hun jise wo aziz rakhta tha main khud ko soch to lun aaine mein dekh to lun to jis libas mein kal us ne mujh ko dekha tha wahi qamis pahan kar udhar se phir guzrun wo ek lamha azal-ta-abad wahi lamha wo mujh se kuchh na kahe main bhi us se kuchh na kahun wo bhul jae mujhe us ko bhul jaun main charagh-e-jaan use nisyan ke taq par rakh dun