hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai

hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai
ye na dekho ki wo kaam karta hai kya kaam kuchh bhi kare aakhir insan hai

ye chhua chhut hai dushmani ka sabab ham-watan hain to phir hai ye tafriq kyun
ek barahman hai aur ek janjat hai wo bhi insan hai wo bhi insan hai

hadi-e-din jitne bhi aae yahan sari duniya ko un ka ye paigham tha
nahin insaniyat jis mein insan nahin jis mein insaniyat hai wo insan hai

krishn aae yahan aae munji yahan nanak aae yahan aae rusul-e-khuda
sabhi ek dusre se mohabbat karen sari duniya ko un ka ye farman hai

ye chhua-chhut hai asl mein pur-khatar is ka apne watan par hua ye asar
lakhon mare gae sirf is baat par jis ne aisa kiya hai wo nadan hai

ye mazahib to apni jagah hain magar ai 'nahif' is se insan hai be-khabar
tu hai insan insan se pyar kar yahi insan sachche ki pahchan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close