hindu hain but-parast musalman khuda-parast pujun main us kisi ko jo ho aashna-parast is daur mein gai hai murawwat ki aankh phut madum hai jahan se chashm-e-haya-parast dekha hai jab se rang-e-kafak tere panw mein aatish ko chhod gabr hue hain hina-parast chahe ki aks-e-dost rahe tujh mein jalwa-gar aaina-dar dil ko rakh apne safa-parast aawargi se khush hun main itna ki baad-e-marg har zarra meri khak ka hoga hawa-parast khak-e-fana ko ta-ki parastish tu kar sake jun khizr-e-mast khaiyo aab-e-baqa-parast 'sauda' se shakhs ke tain aazurda kijiye ai khud-parast haif nahin tu hawa-parast
This is a great fanaa shayari writer. True lovers of watan parast shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore hindi shayari on friendship. Please share if you liked this!!!