hiqarat se na dekho dil ko jam-e-jam bhi kahte hain isi khak-e-tapan ko fatah-e-alam bhi kahte hain ye dil ki dastan-e-muztarib hai jis ko duniya mein kahin aansu kahin moti kahin shabnam bhi kahte hain kabhi ke ek tabassum ko saja rakkha hai honton par bahut se to use parwarda-e-matam bhi kahte hain masarrat ke pujari tujh ko ye ishrat mubarak ho ye duniya hai masarrat ko yahan par gham bhi kahte hain zamana kah raha hai tum ne gulshan hi mita dala murawwat bartaraf lo aaj aisa hum bhi kahte hain