hisar-e-did mein jaga tilism-e-binai zara jo lau teri sham-e-badan ki tharrai na jaane kis se bichhadne ke rag-rang hain sab ye zindagi hai ki furqat ki bazm-arai sukut-e-bahr mein kis gham ka raaz pinhan tha bas ek mauj uthi aur aankh bhar aai ye samt samt takhatub ufuq ufuq taqrir tera kalam hai mera rafiq-e-tanhai khirad ki rah jo chala main to dil ne mujh se kaha aziz-e-man ba-salamat-rawi o baz-ai uthae sur sarafil dekhta hi raha bashar ke hath nizam-e-qayamat-arai kiya tha ji ka ziyan hum ne ek ghazal bhar ko hazar sher kahe ho saki na bharpai