hisar-e-gham se jo nikle bhi to kidhar aae

hisar-e-gham se jo nikle bhi to kidhar aae
bahut malal hua laut ke jo ghar aae

dikhai kuchh na de lekin meri nigahon ko
tere jamal ka manzar faqat nazar aae

tumhaare dar se guzar jaun aur khabar bhi na ho
mere safar mein ek aisi bhi rahguzar aae

tamam umr main zad mein raha hun raaton ki
mere khuda mere hisse ki ab sahar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close