ho aajiz ki jism is qadar zor se

ho aajiz ki jism is qadar zor se
na nikla kabhu uhda-e-mor se

bahut dur koi raha hai magar
ki fariyaad mein hai jaras shor se

meri khak-e-tafta par ai abr-e-tar
qasam hai tujhe tak baras zor se

tere dil-jale ko rakha jis ghadi
dhuan sa utha kuchh lab-e-gor se

na puchho ki be-e'tibari se main
hua us gali mein batar chor se

nahin sujhta kuchh jo us bin hamein
baghair us ke rahte hain hum kor se

jo ho 'mir' bhi is gali mein saba
bahut puchhiyo to meri or se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close