ho agar mere yar aa jao hai mujhe intizar aa jao main bhi hun be-qarar aa jao tum bhi ho dil-figar aa jao ho ke dosh-e-saba pe aaj sawar gar na ho nagawar aa jao main hun diwana-war tum pe fida ho agar e'tibar aa jao main hun is par aur tum us par tod kar ye hisar aa jao hai tumhaari shikast meri shikast man lunga main haar aa jao main tumhaari karunga dil-jui tum ho kyun ashk-bar aa jao aaj 'barqi' hai gosh-bar-awaz tum bajate sitar aa jao