ho chuka jo ki muqaddar mein tha darman hona

ho chuka jo ki muqaddar mein tha darman hona
ab tere hath hai mushkil meri aasan hona

tha jo maqsum mein sharminda-e-ehsan hona
ghair ke hath raha dafn ka saman hona

husn ka ishq ki wadi mein numayan hona
ramz tha din ko sar-e-tur charaghan hona

lazzat-e-dard-e-jarahat to mere dil se na puchh
pahlu-e-zakhm mein lazim tha namak-dan hona

ek qayamat ka saman tha tera ai subh-e-watan
parda-e-sham-e-ghariban ka numayan hona

khana-barbaadiyan har samt se ghere hain mujhe
dar-o-diwar pa likkha hai bayaban hona

imtihan-gah-e-mohabbat mein na jaane kya ho
qahr ka samna hai tegh ka uryan hona

aa rahi hain ye umidon ki sadaen paiham
go safar sakht hai lekin na hirasan hona

meri turbat bhi bani aisi zamin pe 'alim'
jis ki taqdir mein likkha tha bayaban hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close