ho gaya ab to KHayalon ka safar bhi dushwar

ho gaya ab to khayalon ka safar bhi dushwar
dur tak rah mein hai khud meri shohrat ka ghubar

apne khwabon ko liye ghar se na bahar niklo
chaar-su shahr mein hai nachte shoalon ki qatar

barha nind se yun chaunk utha hun jaise
mere bistar pe teri yaad hui hai bedar

main samajhta hun ki ab sirf kutub-khanon mein
munh zamane se chhupae hue baithi hai bahaar

ruh ke zakhm ubharte hain sawalon ki tarah
main kahin teri khudai se na kar dun inkar

tez-rau waqt ki aandhi mein kahan tak aakhir
kaam aaegi umidon ki ye kachchi diwar

ek sailab-e-hawadis ka nishan hain 'jami'
aur kya hain mere likkhe hue sare ashaar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close