ho ke aaina muqabil bhi raha rad ki nahin

ho ke aaina muqabil bhi raha rad ki nahin
darmiyan aaj bhi hai hijr ki sarhad ki nahin

dil-baran yunhi na thi kufr-parasti dil ki
ftina-e-subh-e-qayamat hai tera qad ki nahin

han bata wahm se katrae hue husn-e-yaqin
nang-e-tahqiq hui rasm-e-ab-o-jad ki nahin

dil se us rashk-e-charagh-e-harm-o-dair ke baad
hai wahi wahshat-e-tariki-e-mabad ki nahin

zindagi aaj talak meri tamanna-gah mein
tere kuchh kaam bhi aai hai khushamad ki nahin

hairaten aap bhula baithi thin tai kar ke jinhen
aaina-khanon mein raij hai wo abjad ki nahin

ishq mein kaun muqabil tha mere kis pe khule
mansab-e-qais ki khwahan hai ye masnad ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close