hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun

hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun
allah ek fareb mein kaun-o-makan hain kyun

sunte hain ek dard to uthta hai bar-bar
us ki khabar nahin hai ki aansu rawan hain kyun

in be-niyaziyon mein bhi shan-e-niyaz hai
sajde nahin pasand to phir aastan hain kyun

jis gulistan mein roz tadapti hain bijliyan
yarab usi chaman mein ye phir aashiyan hain kyun

is ka hamein malal hai hum kyun badal gae
is ka nahin malal ki wo bad-guman hain kyun

jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya
jab karwan nahin to pas-e-karwan hain kyun

'bahzad' un ke hijr mein ghabra raha hai dil
ab kya kahen kisi se ki bas khanuman hain kyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close