hone ko yun to shahr mein apna makan tha

hone ko yun to shahr mein apna makan tha
nafrat ka regzar magar darmiyan tha

lamhe ke tutne ki sada sun raha tha main
jhapki jo aankh sar pe naya aasman tha

kahne ko hath bandhe khade the namaz mein
puchho to dusri hi taraf apna dhyan tha

allah jaane kis pe akadta tha raat din
kuchh bhi nahin tha phir bhi bada bad-zaban tha

shole ugalte tir baraste the charkh se
saya tha pas mein na koi saeban tha

sab se kiya hai wasl ka wada alag alag
kal raat wo sabhi pe bahut mehrban tha

munh-phat tha be-lagam tha ruswa tha dhit tha
jaisa bhi tha wo dosto mahfil ki jaan tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close