hosh-o-KHirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhoD diya

hosh-o-khirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhod diya
hum ne tumhaari chah mein ai jaan dekho to kya kya chhod diya

kuche mein us rashk-e-chaman ke ja ke jo baitha phir us ne
bagh-o-chaman yan jitne hain sab ka sair-o-tamasha chhod diya

luta hosh aur luta din ko dil ko bhi kuchla kya kya wah
naz ko us ne aaj to kuchh be-dad par aisa chhod diya

din ko hamare pas wo chanchal kahe ko aawega ai dil
raat ko ek dam khwab mein aana jis ne idhar ka chhod diya

tair-e-dil jab hum se gaya phir faeda kya jo puchhen 'nazir'
shokh ne us ko zabh kya ya qaid rakha ya chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close