hota fankar-e-jadid aur na shaer hota laghw be-bahr khayalat ka mazhar hota aur badh jati jo ibham ki nudrat mujh mein ahd-e-nau ke kisi firqe ka payambar hota kuchh to milta mujhe dushnam-taraazi hi sahi khub hota jo main dushman ke barabar hota kahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jata phul hota kisi gulshan ka gul-e-tar hota mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki inayat hoti kash ke main bhi kisi koh ka patthar hota yun tarashe hain sanam kufr ke is duniya ne but-shikan hota jo is daur mein 'azar' hota khinch deta main zamane pe mohabbat ke nuqush mere qabze mein agar khama-e-shahpar hota apni khaliq ka mafhum samajh pata agar daera hota jahan aur main mehwar hota log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauran kahte neza-e-waqt pe goya jo mera sar hota dasht ki aab-o-hawa ne diya kanton ka libas main bahaaron mein jo palta gul-e-ahmar hota khun mazdur ka milta jo na tamiron mein na haweli na mahal aur na koi ghar hota tishna-lab koi bhi duniya mein nahin rah pata meri aaankhon ke jo qabze mein samundar hota