hue KHalq jab se jahan mein hum hawas-e-nazara-e-yar hai

hue khalq jab se jahan mein hum hawas-e-nazara-e-yar hai
thahar ai ajal ki wo aaenge dam-e-wapsin ka qarar hai

rahen mahw kyun na har ek dam ki nazar mein jalwa-e-yar hai
dil-e-muntazir hai jo aaina to khayal aaina-dar hai

ye khata-e-ishq ki di saza ki mizha se mardum-e-chashm ne
mera dil dikha ke ye kah diya ise lo ye qabil-e-dar hai

ye khuda hi jaane wo kaun tha jo shahid-e-naz-o-ada hua
ki udi hai khak-e-rah-e-sanam to khizan mein rang-e-bahaar hai

huin tark sari mohabbaten mere sar pe dhai hain aafaten
yahi dil ke lene mein shart thi yahi mujh se qaul-o-qarar hai

ye junun ki dekhiye pukhtagi jo kabhi kisi ne na ho suni
mere pairahan ka jo tar hai wo har ek resha-e-khar hai

koi dil ki nikli na aarzu hua ranj-o-gham se jigar lahu
phire khak chhante ku-ba-ku na to sabr hai na qarar hai

pas-e-marg bhi hain wahi sitam hain jafaen ruh pe dam-ba-dam
idhar aate aate wo phir gae jo suna ki mera mazar hai

mere sine ko na hadaf karo tapish-e-jigar se dare raho
par-e-murgh-e-tir na jal uthen ki lahu ba-rang-e-sharar hai

wo khushi dikhai na charkh ne ki ewaz mein jis ke na gham diye
kabhi farsh-e-gul hai jo ek shab to mahinon bistar-e-khar hai

jise dard-e-nala-o-ah hai jo shahid-e-tegh-e-nigah hai
shab-e-hijr us ki gawah hai wo 'habib'-e-sina-figar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close