hui to ja dil mein us sanam ki namaz mein sar jhuka jhuka kar haram se but-khane tak to pahuncha khuda khuda kar khuda khuda kar lahad mein kya zikr raushni ka sar-e-lahad bhi jo rahm kha kar jala kiya jab charagh koi hawa ne thanda kiya bujha kar nishan-e-barbaad-gan-e-alam jo puchhe sahra mein hum ne ja kar saba se ud ud ke gard baithi bagule utthe hawa mein aa kar jo chashm-e-anjam-e-bin se dekha bahaar do din hai phir khizan hai maal-e-gulshan pe roi shabnam hanse gul-e-tar jo khil-khila kar buton ki pur-ab ankhdiyon mein khula ye dekha jo putliyon ko ye wo hain hindu dharam jaman se phire jo ganga chale naha kar khayal-e-hajj-e-haram ko chhoda suna jo shah-e-rag se hai qarin-tar tawaf-e-dil hi kiya kiye hum gae na kabe ko pher kha kar zamin mein ai 'shad' mar gae par falak dabae to kya gila hai miyan-e-turbat hamare pahlu hamein dabaate hain murda pa kar