hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho

hujum-e-dard ka itna badhe asar gum ho
mile wo raat ki jis raat ki sahar gum ho

maza to jab hai ki aawargan-e-shauq ke sath
ghubar ban ke chale aur rahguzar gum ho

hamari tarah kharab-e-safar na ho koi
ilahi yun to kisi ka na rahbar gum ho

chale hain hum bhi charagh-e-nazar jalae hue
ye raushni bhi kahin rah mein agar gum ho

talash-e-dost hai dil ko magar khuda jaane
kahan kahan ye bhatakta phire kidhar gum ho

chaman chaman hain wo nashw-o-numa ke hangame
gulon ko dhundne jae to khud nazar gum ho

sukhan ki jaan hai husn-e-bayan magar 'taban'
na yun ki lafz hi rah jaen fikr-e-tar gum ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close