hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae

hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae
aankhen khulin to jagte khwabon mein kho gae

hum safha-e-hayat se jab be-nishan hue
lafzon ki ruh ban ke kitabon mein kho gae

aaina-e-bahaar ke kuchh aks-e-muzmahil
khushbu ka rang pa ke gulabon mein kho gae

dar-asl barshgal ke tum aaftab the
barsat jab hui to sahabon mein kho gae

nikle the jo bhi aaj talash-e-sawab mein
wo zindagi ke sakht azabon mein kho gae

dil ko thi ek shahr-e-tamanna ki justuju
lekin hum aarzu ke kharabon mein kho gae

jab masala hayat ka kuchh hal na ho saka
hum 'kaif' falsafe ki kitabon mein kho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close