hum ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte hain

hum ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte hain
har qadam ek nai rahguzar rakhte hain

zad pe tufan ke kaghaz ka nagar rakhte hain
lakh sailab-e-hawadis ho magar rakhte hain

is ke ba-wasf ki har samt andhera hai muhit
hum hain wo log jo ummid-e-sahar rakhte hain

teri baaten teri yaaden tere rangin khutut
apne hamrah yahi zad-e-safar rakhte hain

hum khatawar-e-zamana hain farishte to nahin
hain ziyan-kar ki ausaf-e-bashar rakhte hain

dil ke juzdan mein ek nam saja hai 'nasir'
hum kisi haal mein hon us ki khabar rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close