hum apne dukh ko gane lag gae hain magar is mein zamane lag gae hain kisi ki tarbiyat ka hai karishma ye aansu muskurane lag gae hain kahani rukh badalna chahti hai nae kirdar aane lag gae hain ye hasil hai meri khamoshiyon ka ki patthar aazmane lag gae hain ye mumkin hai kisi din tum bhi aao parinde aane jaane lag gae hain jinhen hum manzilon tak le ke aae wahi rasta batane lag gae hain sharafat rang dikhlati hai 'danish' kai dushman thikane lag gae hain