hum apne zaKHm sabhi ko dikha nahin sakte

hum apne zakhm sabhi ko dikha nahin sakte
jo shikwa tum se hai sab ko suna nahin sakte

mere khayal ki gahrai ko zara samjho
ki sirf lafz to matlab bata nahin sakte

malal ye hai ki saqi to ban gae sahab
sharab hath mein hai aur pila nahin sakte

ajab hai phul ki fitrat use masal kar tum
mahakte hathon ki khushbu chhupa nahin sakte

likha gaya jo muqaddar mein harf-e-akhir hai
tum apni marzi se is ko mita nahin sakte

hazaron hile bahane tarash lo phir bhi
tum apne chehre ki khiffat chhupa nahin sakte

ab ek hum hain ki sadiyan guzar den 'adil'
aur ek wo hain ki lamha bata nahin sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close