hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye

hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye
safar mein the safar ka e'tibar le ke chal diye

sadak sadak mahak rahe the gul-badan saje hue
thake badan ek ek gale ka haar le ke chal diye

jibillaton ka khun khaulne laga zamin par
to ahd-e-irtiqa khala ke par le ke chal diye

pahad jaisi azmaton ka dakhila tha shahr mein
ki log aagahi ka ishtihaar le ke chal diye

jarahaten milin hamein bhi inkisar ke ewaz
jhuka ke sar sadaqaton ki haar le ke chal diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close