hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhaT jaegi

hum bhi nadan hain samajhte hain ki chhat jaegi
tirgi nur ke paikar mein simat jaegi

log kahte hain mohabbat se tamanna jis ko
meri shah-e-rag usi talwar se kat jaegi

tum jise bant rahe ho wo sitam-dida-zamin
zalzala aaega kuchh aisa ki phat jaegi

qaid hun gumbad-e-be-dar mein meri apni sada
mujh tak aaegi magar aa ke palat jaegi

bant ji bhar ke use dahr ke mahrumon mein
pyar daulat to nahin hai ki jo ghat jaegi

baad-e-sarsar se na ghabra ki ye chal kar 'arif'
kitne chehron se naqabon ko ulat jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close