hum bichhaD ke tum se baadal ki tarah rote rahe

hum bichhad ke tum se baadal ki tarah rote rahe
thak gae to khwab ki dahliz par sote rahe

zindagi ne hath se khanjar na rakha ek pal
hum qatil-e-ghamza-o-naz-e-butan hote rahe

lok lahje ka suhana-pan sukhan ki naghmagi
shahr ki aabaadiyon ke shor mein khote rahe

kyun mata-e-dil ke lut jaane ka koi gham kare
shahr-e-dilli mein to aise waqiye hote rahe

surkhiyan akhbar ki galiyon mein ghul karti rahin
log apne band kamron mein pade sote rahe

mahfilon mein hum rafiq-o-raaz-dan samjhe gae
ghar ke aangan mein magar tanhaiyan bote rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close