hum bura karte ya bhala karte

hum bura karte ya bhala karte
soch kar koi faisla karte

tum talluq ka pas to rakhte
khush na karte hamein khafa karte

dosto kash dukh ke lamhon mein
tum dawa karte hum dua karte

kar di dushwar rahguzar-e-zist
aur kya kaam rahnuma karte

rakhte rishton mein yun tawazun hum
kuchh wafa karte kuchh jafa karte

sar uthate qubuliyat ke baad
sajda-e-shauq yun ada karte

baat thi jab ki but-kade mein 'obaid'
baith kar tum khuda khuda karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close