hum DhunDte hain bagh mein is gul-ezar ko

hum dhundte hain bagh mein is gul-ezar ko
jalwa ne jis ke rang diya hai bahaar ko

tum jate ho to jao khuda ke liye magar
le jao apne sath na sabr-o-qarar ko

hum husn-e-itiqad se samjhe chadhae phul
gul kar diya jo us ne charagh-e-mazar ko

di kis ne is ko ja ke nawed-e-qudum-e-yar
hai nagawar bagh se jaana bahaar ko

us but mein nur-e-qudrat-e-khaliq hai mustatar
patthar ne kya chhupaya hai dil mein sharar ko

'mushtaq' gham ko pas na aane de zinhaar
khush khush guzar zindagi-e-mustaar ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close