hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan

hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan
rang hain sab pairahan mein kho gae hain hum kahan

muzmahil hai subh ka shoala dhuan hai dasht par
dekhna hai ud ke jati hai magar shabnam kahan

dast-e-qatil ke liye honton pe ab bhi marhaba
khun-e-ahl-e-dil ki khatir sina-e-matam kahan

daman-e-dil mein samete hain abhi tufan kai
sail-e-ashk-o-nala-e-gham ho gae hain kam kahan

dil dhadakta hai har ek aahat pe ahl-e-hijr ka
jaante hain wo ki aaega koi is dam kahan

ud ke aata hai ghubar-e-rahguzar aankhon mein phir
dhundhta hun kho gaya hai dida-pur-nam kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close