hum jo ek lahr mein lahraate hue jhumte hain

hum jo ek lahr mein lahraate hue jhumte hain
kyun na aisa ho ki hum sath tere jhumte hain

raqs-e-darwesh ka ye silsila duniya se na jod
hum kisi aur hi lazzat ke liye jhumte hain

aisi manzil pe le aaya hai mera raqs mujhe
ab kai silsile bhi sath mere jhumte hain

dol jae na tere dolne se partaw-e-nur
tere hamrah kai shama-kade jhumte hain

zara dekho to sahi ahl-e-mohabbat ki taraf
kitni sarmastiyan aankhon mein liye jhumte hain

raushni raaz hai aisa ki samajh aane par
kitne sar ghumte hain kitne diye jhumte hain

main akela to nahin jhum raha hun 'sayyad'
tare bhi sath mere raat gae jhumte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close