hum karen baat dalilon se to rad hoti hai

hum karen baat dalilon se to rad hoti hai
us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah
ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai

jis ki gardan mein hai phanda wahi insan bada
suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai

shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas
bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai

kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-sukhan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close