hum ko khulus-e-dil ka kisi ne sila diya hai ek tu ne gham diya hai so wo bhi kya diya hai shahr-e-nigar-e-dil hai aatish-kade ki surat mausam ne is baras bhi tohfa bada diya hai hum se nihaal-e-gulshan rangin-nafas hue hain dast-e-saba ko hum ne rang-e-hina diya hai apnon ki justuju hai apne magar kahan hain logon ne jaane hum ko kis ka pata diya hai jaan warte usi par wo qadr-dan jo hota bas pas tha jo apne wo sab luta diya hai aisi hawa mein tanha kyun chhodte ho us ko yaro 'khalil' ab tak jalta hua diya hai