hum na jaenge rahnuma ke qarib

hum na jaenge rahnuma ke qarib
lut lega hamein bula ke qarib

aabdida hai ishrat-e-duniya
kis qadar gham hain be-nawa ke qarib

ek parinda lapak ke pahuncha tha
phir bhi pyasa raha ghata ke qarib

zarf-e-dil aazma rahi hai sharab
jam rakkhe hain parsa ke qarib

chashm-e-pur-nam wo aaj utthe hain
kal jo baithe the muskura ke qarib

un se puchha ki zindagi kya hai
ek diya rakh diya bujha ke qarib

fasle raaz darmiyan hain magar
aadmi phir bhi hai khuda ke qarib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close