hum pe tanhai mein kuchh aaise bhi lamhe aae

hum pe tanhai mein kuchh aaise bhi lamhe aae
ban gae aap ki taswir hamare sae

dard se kuchh ajab ahwal tha dil ka kal raat
jaise rone ki kahin dur se aawaz aae

ek tera hi tabassum to na tha wajh-e-sukun
mere aansu bhi mohabbat mein bahut kaam aae

dil mein aabaad umiden hain magar kaise na puchh
din dhale jaise darakhton ke hon lambe sae

hum ko ek umr na jine ka saliqa aaya
hum ne ek umr tamannaon ke dhoke khae

apni duniya mein khushi aai to aaise aai
jaise ek naqsh bane bante hi phir mit jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close