hum shahr ki diwaron mein khinch aae hain yaro

hum shahr ki diwaron mein khinch aae hain yaro
mahsus kiya tha ki idhar sae hain yaro

rahne bhi do kya puchh ke zakhmon ka karoge
ye zakhm agar tum ne nahin khae hain yaro

chhedo koi baat aisi ki ehsas ko badle
hum aaj zara ghar se nikal aae hain yaro

kya sochte ho taza lahu dekh ke sar mein
ek dost-numa sang se takrae hain yaro

aise bhi na chup ho ki pasheman ho jaise
kuchh tum ne ye sadme nahin pahunchae hain yaro

andaz tumhein hoga ki baat aisi hi kuchh hai
warna kabhi hum aise bhi ghabrae hain yaro

wo qisse jo sun lete the hum az-rah-e-akhlaq
ab apne yahan waqt ne dohrae hain yaro

ab tum ko sunate hain ki ehsas ki tah se
ek naghma bahut dub ke hum lae hain yaro

jate hain ki guzra hai ye din jin ki khizan mein
aankhon mein bahaar un ke liye lae hain yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close