hum tashaKHKHus kho rahe hain zat ki tashhir mein

hum tashakhkhus kho rahe hain zat ki tashhir mein
khud bikharte ja rahe hain koshish-e-tamir mein

ye bhi sochen kash izzat kya hai aur zillat hai kya
wo jo ruswa ho rahe hain hasrat-e-tauqir mein

aaj nakhl-e-maslahat ki chhanw mein hai mahw-e-khwab
parwarish jis ki hui thi saya-e-shamshir mein

ai sukhnawar tum jo kahte ho wo kyun karte nahin
kyun ham-ahangi nahin kirdar aur tahrir mein

us ki subhen dil-kusha hain us ki shamen jaan-fiza
kho gaya jo shakhs lutf-e-nala-e-shab-gir mein

ho ata jis shakhs ko nur-e-basirat ai 'jalal'
dekh leta hai musawwir ko bhi wo taswir mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close