humne ki hai tauba aur dhuMein machati hai bahaar

hum ne ki hai tauba aur dhumen machati hai bahaar
hae bas chalta nahin kya muft jati hai bahaar

lala-e-gul ne hamari khak par dala hai shor
kya qayamat hai muon ko bhi satati hai bahaar

shakh-e-gul hilti nahin ye bulbulon ko bagh mein
hath apne ke ishaare se bulati hai bahaar

hum giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek
ji nikal jata hai jab sunte hain aati hai bahaar

nargis o gul ki khili jati hain kaliyan dekho sab
phir bhi unhi khwabida fitnon ko jagati hai bahaar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close