humse to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah

hum se to rah-o-rasm hai aghyar ki tarah
duniya pe mehrban hain gham-khwar ki tarah

kam-maegi na puchh meri bazm-e-ghair mein
uthti hai har nigah kharidar ki tarah

main tajiran-e-ishq ke bare mein kya kahun
in ka junun hai garmi-e-bazar ki tarah

khud-sakhta buton ko main ab tod-tad kar
pujunga bas usi ko parastar ki tarah

zauq-e-nazar ko aap samajhte hain gar gunah
nadim khada hun main bhi gunahgar ki tarah

dekhi hai main ne shakh se patton ki rukhsati
jaane na dunga ab tujhe har bar ki tarah

zad-e-safar ki fikr na manzil ka ho khayal
rah-e-talab mein aao talabgar ki tarah

chaha hai tum ko yun ki tumhein bhi khabar na ho
socha hai tum ko an-kahe ashaar ki tarah

kahne ko koi band-o-salasil nahin magar
sab hain fasil-e-jaan mein giraftar ki tarah

'adil' rukh-e-nigar nahin dil ka aaina
iqrar-e-khas hota hai inkar ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close