hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta

hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta
mahal-sara mein koi kuza-gar nahin rahta

bichhadte waqt kisi se hamein bhi tha ye guman
ki zakhm kaisa bhi ho umr-bhar nahin rahta

main apne haq ke siwa mangta agar kuchh aur
to mere harf-e-dua mein asar nahin rahta

kuchh aur bhi guzar-auqat ke wasile hain
gada khazina-e-kashkol par nahin rahta

wo kaun hai jo musafir ke sath chalta hai
khayal-e-yar bhi jab ham-safar nahin rahta

jise banate sajate hain jis mein rahte hain
sawere aankh khule to wo ghar nahin rahta

khuli faza na rahe yaad agar parindon ko
gham-e-shikastagi-e-baal-o-par nahin rahta

hum ek shab mein kai khwab dekhte hain so ab
wo aa ke khwab mein bhi raat-bhar nahin rahta

'kamal' log bhi kya hain guman ye rakhte hain
jo bas gaya ho kahin dar-ba-dar nahin rahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close