hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai

hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai
nazan hun main ki mera talluq zamin se hai

waqf-e-farogh-e-rang-nazar aur dil ba-zid
pairahan-e-hayat darida kahin se hai

sajdon ki zau nahin hai to zakhmon ke phul hain
baqi koi to sang ka rishta jabin se hai

kya zikr-e-be-rukhi ki ye shewa hai husn ka
shikwa mujhe teri nigah-e-awwalin se hai

main tera bankpan hun mujhe hath se na kho
angushtari ki zinat-o-qimat nagin se hai

dhul ud rahi hai dida-e-khun-naba-bar mein
qaem ab ashk-e-gham ka bharam aastin se hai

hum bhagte phiren ye murawwat se hai baid
jab gardish jahan ko aqidat hamin se hai

aashob-e-rozgar ne ye haal kar daya
baaten kahin ki hain to hawala kahin se hai

'khawar' kisi bhi rishte ko hasil nahin sabaat
juz rishta-e-wafa jo dam-e-wapsin se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close