husn-e-sada ka war aankhen hain

husn-e-sada ka war aankhen hain
bin tere be-qarar aankhen hain

meri jaanib hai jo tera chehra
meri jaanib hazar aankhen hain

aib tera kahan chhupega ab
shahr mein be-shumar aankhen hain

main ne tarz-e-wafa tha apnaya
is liye ashk-bar aankhen hain

parsai kahan gai bolo
aaj kyon dagh-dar aankhen hain

ek naqsha tha khwab ka khincha
is liye tar tar aankhen hain

jaise in mein sahab rahte hon
kitni zar-o-qatar aankhen hain

jin ki tabir mein mile wahshat
aise khwabon pe bar aankhen hain

wo jo chehra hi padh nahin saktin
kitni jahil ganwar aankhen hain

wo nazar aar-par hoti hai
hae kya dil-figar aankhen hain

khwab dekha 'rabab' ne kyunkar
is liye su-e-dar aankhen hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close